Sunday, December 06, 2015

EK TAZA GHAZAL



Chup kyon ho tum jawaab to do

Mere jakhmo ka zara hisaab to do



Ukta gaya hoon jaam-e-giriya pee pee kar  [
jaam-e-giriya=wine of tears]

Zahar na sahi, thoda sharab to do


Tabeer ki batein phir karenge hum   { Tabeer=interpretation, explanation, elucidation of a dream]

Pahle in ankhon ko kuchh khawab to do



Kuchh to de jao apni nishani hum-dum

Dil ko khalish, nigahon ko aab to do



Jo kitab ke safon ke beech hai chhupa

Mujhe wapas  wo sukha hua gulab to do



Tweel hai safar zulmaton ka, aye Khuda    {Tweel=Long} {Zulmaton=Darkness]

Meri andheri raton ko ek mahtaab to do  [Mahtab=Moon]







1 comment:

Unknown said...

Behudd khoobsoorat ghazal.Lajawab sheir.mashaAllah