Wednesday, December 09, 2015

EK GHAZAL

ایک غزل  
-------------------------------------------------------------------
Zara is diwane ka arz-e-haal tum sunte kyon nahin
Ishq mein hota hai kya kamal tum sunte kyon nahin 


Dekh liya in ankho ko kya kya  gila hai tum se

Is dil ko bhi hai kuchh malal tum sunte kyon nahin


Dastan-e-urooz to suna hai tum ne barha magar

Kaise hua is qaum ka jawal tum sunte kyon nahin


Wo waqt tha wasl-e-yaar ka  us ka byan chhhodo

Hizr mein guzra hai kaise saal tum sunte kyon nahin


Taqreer bahut achhi hai tumhari ye sab mante hain

Yahan  mera bhi hai kuchh khyal tum sunte kyon nahin


Tere naam pe ho raha hai zulm-o-jabr, aye Khuda

 Insaniyat ho rahi hai pamaal, tum sunte kyon nahin

تیرے نام پے  ہو رہا ہے ظلم جبر  اے خدا 
انسانیت ہورہی  ہے  پامال تم سنتے کیوں نہیں  

No comments: